Nahin Kahte Kisi Se Haal-e-dil KHamosh Rahte Hain

nahin kahte kisi se haal-e-dil KHamosh rahte hain

ki apni dastan mein tere afsane bhi aate hain

wo jin par faKHr hai farzangi ko nukta-dani ko

teri mahfil mein aise chand diwane bhi aate hain

adab karta hun masjid ka wahan har rose jata hun

ki us ki rah mein do-chaar maiKHane bhi aate hain

hamare mai-kade mein mai bhi hai iman ki baaten bhi

yahin to ek sahab waz farmane bhi aate hain

na ghabra chahne walon se ye to ain-e-fitrat hai

ki shama nur-afshan ho to parwane bhi aate hain

(1010) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Kahte Kisi Se Haal-e-dil KHamosh Rahte Hain In English By Famous Poet Davarka Das Shola. Nahin Kahte Kisi Se Haal-e-dil KHamosh Rahte Hain is written by Davarka Das Shola. Read famous Poem Nahin Kahte Kisi Se Haal-e-dil KHamosh Rahte Hain for youth and Student by Davarka Das Shola. Free Download Nahin Kahte Kisi Se Haal-e-dil KHamosh Rahte Hain in PDF.