Zist Be-waada-e-anwar-e-sahar Hai Ki Jo Thi

zist be-waada-e-anwar-e-sahar hai ki jo thi

zulmat-e-baKHt ba-har-rang-o-nazar hai ki jo thi

ishq barbaad-kun-e-rahat-e-dil hai ki jo tha

shoKHi-e-dost ba-andaz-e-digar hai ki jo thi

aaj bhi koi nahin puchhta ahl-e-dil ko

aaj bhi zillat-e-arbab-e-nazar hai ki jo thi

KHud-parasti ka riwaj aaj bhi hai aam ki tha

rasti aaj bhi mohtaj-e-asar hai ki jo thi

aaj bhi jazba-e-iKHlas pareshan hai ki tha

aaj bhi dida-wari KHak-basar hai ki jo thi

aaj bhi ilm-o-hunar ki nahin koi waqat

ab bhi na-qadri-e-ashab-e-hunar hai ki jo thi

aaj bhi mehr-o-wafa ki nahin qimat koi

aaj bhi manzilat-e-kisa-e-zar hai ki jo thi

kaamrani pe hai nazan hawas-e-hech madar

aashiqi aaj bhi ba-dida-e-tar hai ki jo thi

ruh-e-iKHlas to dar-band hai be-pursish-e-haal

midhat-e-husn sar-e-rahguzar hai ki jo thi

saf-goi ko samajhte hain yahan aib ab bhi

zehniyat aaj bhi aaluda-e-shar hai ki jo thi

asp-e-tazi ko mayassar nahin chaara 'shoala'

aur tan-zebi-o-araish-e-KHar hai ki jo thi

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zist Be-waada-e-anwar-e-sahar Hai Ki Jo Thi In English By Famous Poet Davarka Das Shola. Zist Be-waada-e-anwar-e-sahar Hai Ki Jo Thi is written by Davarka Das Shola. Read famous Poem Zist Be-waada-e-anwar-e-sahar Hai Ki Jo Thi for youth and Student by Davarka Das Shola. Free Download Zist Be-waada-e-anwar-e-sahar Hai Ki Jo Thi in PDF.