Nazar Aaya Na Koi Bhi Idhar Dekha Udhar Dekha

nazar aaya na koi bhi idhar dekha udhar dekha

wahan pahunche to apne aap ko bhi be-nazar dekha

ye dhoka tha nazar ka ya farishta sabz chadar mein

kahin sahra mein lahraata hua us ne shajar dekha

kahin pe jism aur pahchan donon rah mein chhoDe

KHud apne aap ko hum ne na apna ham-safar dekha

bane kya aashiyan taza hawa na peD ke jhurmuT

kisi uDte parinde ne nae yug ka nagar dekha

lage the aaine chaaron taraf shayad mohabbat ke

nazar ke samne tha bas wahi hum ne jidhar dekha

zamin ki sej par sae ki chadar oDh kar soya

kisi banjare sailani ne raste mein hi ghar dekha

kabhi hum Dub jaenge isi mein sochte har dam

hamare dil ne jab dekha hababon ka bhanwar dekha

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Aaya Na Koi Bhi Idhar Dekha Udhar Dekha In English By Famous Poet Deepak Qamar. Nazar Aaya Na Koi Bhi Idhar Dekha Udhar Dekha is written by Deepak Qamar. Read famous Poem Nazar Aaya Na Koi Bhi Idhar Dekha Udhar Dekha for youth and Student by Deepak Qamar. Free Download Nazar Aaya Na Koi Bhi Idhar Dekha Udhar Dekha in PDF.