Kahan Gai Ehsas Ki KHushbu Fana Hue Jazbaat Kahan

kahan gai ehsas ki KHushbu fana hue jazbaat kahan

hum bhi wahi hain tum bhi wahi ho lekin ab wo baat kahan

mausam ne angDai li to muskae kuchh phul magar

man mein dhum macha de ab wo rangon ki barsat kahan

mumkin ho to khiDki se hi raushan kar lo ghar-angan

itne chand sitare le kar phir aaegi raat kahan

KHwabon ki taswiron mein ab aao bhar len rang naya

chand samundar kashti hum tum ye jalwe ek sath kahan

ek chehre ka aks sabhi mein DhunD raha hun barson se

lakhon chehre dekhe lekin us chehre si baat kahan

chamak damak mein Dub gae hain pyar wafa ke asli rang

'dew' jahan walon mein ab wo pahle se jazbaat kahan

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Gai Ehsas Ki KHushbu Fana Hue Jazbaat Kahan In English By Famous Poet Devmani Pandey. Kahan Gai Ehsas Ki KHushbu Fana Hue Jazbaat Kahan is written by Devmani Pandey. Read famous Poem Kahan Gai Ehsas Ki KHushbu Fana Hue Jazbaat Kahan for youth and Student by Devmani Pandey. Free Download Kahan Gai Ehsas Ki KHushbu Fana Hue Jazbaat Kahan in PDF.