Kashtiyan Manjdhaar Mein Hain NaKHuda Koi Nahin

kashtiyan manjdhaar mein hain naKHuda koi nahin

apni himmat ke alawa aasra koi nahin

manzilon ki justuju mein aa gae us moD par

ab jahan se lauTne ka rasta koi nahin

hum ne puchha KHud ke jaisa kya kabhi dekha kahin

muskura kar us ne hum se kah diya koi nahin

zindagi ke is safar mein tajraba hum ko hua

sath sab hain par kabhi pahchanta koi nahin

rafta rafta umr sari kaT gai apni yahan

hum ko lekin shahr bhar mein jaanta koi nahin

(736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kashtiyan Manjdhaar Mein Hain NaKHuda Koi Nahin In English By Famous Poet Devmani Pandey. Kashtiyan Manjdhaar Mein Hain NaKHuda Koi Nahin is written by Devmani Pandey. Read famous Poem Kashtiyan Manjdhaar Mein Hain NaKHuda Koi Nahin for youth and Student by Devmani Pandey. Free Download Kashtiyan Manjdhaar Mein Hain NaKHuda Koi Nahin in PDF.