Phir Marhala-e-KHwab-e-bahaaran Se Guzar Ja

phir marhala-e-KHwab-e-bahaaran se guzar ja

mausam hai suhana to gareban se guzar ja

shishe ke makan aur nazar ke mutahammil

diwana na ban shahr-e-nigaran se guzar ja

sab qatl ke asbab baham hain sar-e-maqtal

aise mein pas-o-pesh na kar jaan se guzar ja

phir denge wahi mashwara-e-tark-e-mohabbat

ahbab-numa halqa-e-yaran se guzar ja

kuchh dur nahin manzil-e-maqsud-e-tamanna

ek fasla-e-qurb-e-rag-e-jaan se guzar ja

ai 'dil' inhen idrak kahan namratiyon ka

jo kahte hain pal bhar mein bayaban se guzar ja

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Marhala-e-KHwab-e-bahaaran Se Guzar Ja In English By Famous Poet Dil Ayubi. Phir Marhala-e-KHwab-e-bahaaran Se Guzar Ja is written by Dil Ayubi. Read famous Poem Phir Marhala-e-KHwab-e-bahaaran Se Guzar Ja for youth and Student by Dil Ayubi. Free Download Phir Marhala-e-KHwab-e-bahaaran Se Guzar Ja in PDF.