Aazar Raha Hai Tesha Mere KHandan Mein

'azar' raha hai tesha mere KHandan mein

paikar dikhai dete hain mujh ko chaTan mein

sab apne apne taq mein tharra ke rah gae

kuchh to kaha hawa ne charaghon ke kan mein

main apni justuju mein yahan tak pahunch gaya

ab aaina hi rah gaya hai darmiyan mein

manzar bhaTak rahe the dar-o-baam ke qarib

main so raha tha KHwab ke pichhle makan mein

lazzat mili hai mujh ko aziyyat mein is liye

ehsas khinchna tha badan ki kaman mein

nikli nahin hai dil se mere bad-dua kabhi

rakkhe KHuda adu ko bhi apni aman mein

'azar' usi ko log na kahte hon aaftab

ek dagh sa chamakta hai jo aasman mein

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazar Raha Hai Tesha Mere KHandan Mein In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Aazar Raha Hai Tesha Mere KHandan Mein is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Aazar Raha Hai Tesha Mere KHandan Mein for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Aazar Raha Hai Tesha Mere KHandan Mein in PDF.