Hawas Se Jism Ko Do-chaar Karne Wali Hawa

hawas se jism ko do-chaar karne wali hawa

chali hui hai gunahgar karne wali hawa

yahin kahin mera lashkar paDaw Dalega

yahin kahin hai giraftar karne wali hawa

tamam sina-sipar peD jhukne wale hain

hawa hai aur nigun-sar karne wali hawa

paDe hue hain yahan ab jo sar-burida charagh

guzishta raat thi yalghaar karne wali hawa

hamari KHak uDati phire hai shahr-ba-shahr

hamari ruh ka inkar karne wali hawa

usi KHarabe mein rahne ki Than baiThi hai

badan ka dasht nahin par karne wali hawa

na jaane kaun taraf le ke chal paDe 'azar'

dhuen se mujh ko numudar karne wali hawa

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawas Se Jism Ko Do-chaar Karne Wali Hawa In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Hawas Se Jism Ko Do-chaar Karne Wali Hawa is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Hawas Se Jism Ko Do-chaar Karne Wali Hawa for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Hawas Se Jism Ko Do-chaar Karne Wali Hawa in PDF.