Hawa Ne Ism Kuchh Aisa PaDha Tha

hawa ne ism kuchh aisa paDha tha

diya diwar par chalne laga tha

main sehr-e-KHwab se uTTha to dekha

koi khiDki mein suraj rakh gaya tha

khaDa tha muntazir dahliz par main

mujhe ek saya milne aa raha tha

tere aane se ye uqda khula hai

main apne aap mein rakkha hua tha

sabhi lafzon se taswiren banain

meri poron mein manzar rengta tha

mujhe tere iradon ki KHabar thi

so gahri nind mein bhi jagta tha

main jab maidan KHali kar ke aaya

mera dushman akela rah gaya tha

sabhi ke hath mein patthar the 'azar'

hamare hath mein ek aaina tha

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ne Ism Kuchh Aisa PaDha Tha In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Hawa Ne Ism Kuchh Aisa PaDha Tha is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Hawa Ne Ism Kuchh Aisa PaDha Tha for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Hawa Ne Ism Kuchh Aisa PaDha Tha in PDF.