KHud Mein Khilte Hue Manzar Se Numudar Hua

KHud mein khilte hue manzar se numudar hua

wo jazira jo samundar se numudar hua

meri tanhai ne paida kiye sae ghar mein

koi diwar koi dar se numudar hua

chaaron atraf mere aaine rakkhe gae the

main hi main apne barabar se numudar hua

aaj ki raat guzari hai diye ne mujh mein

aaj ka din mere andar se numudar hua

kya ajab naqsh hai wo naqsh jo is duniya ke

kahin andar kahin bahar se numudar hua

ek shoale ki lapak nur mein Dhal kar aai

ek kirdar bahattar se numudar hua

haq ki pahchan hui KHalq ko 'azar' us waqt

jab ali aap ke bistar se numudar hua

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Mein Khilte Hue Manzar Se Numudar Hua In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. KHud Mein Khilte Hue Manzar Se Numudar Hua is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem KHud Mein Khilte Hue Manzar Se Numudar Hua for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download KHud Mein Khilte Hue Manzar Se Numudar Hua in PDF.