Kuchh Bhi Nahin Hai KHak Ke Aazar Se Pare

kuchh bhi nahin hai KHak ke aazar se pare

dekha hai main ne bar-ha us par se pare

ek naqsh khinchta hai mujhe KHwab se udhar

ek daera bana hua parkar se pare

ya-rab nigah-e-shauq ko wusat nasib ho

meri nazar pe bar hai diwar se pare

tum KHud hi dastan badalte ho dafatan

hum warna dekhte nahin kirdar se pare

kuchh lafz jin ko ab koi tartib chahiye

guzre hue KHayal ke izhaar se pare

'azar' ab un ka nam-o-nishan mil nahin raha

uDta hua ghubar hai kohsar se pare

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bhi Nahin Hai KHak Ke Aazar Se Pare In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Kuchh Bhi Nahin Hai KHak Ke Aazar Se Pare is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Kuchh Bhi Nahin Hai KHak Ke Aazar Se Pare for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Kuchh Bhi Nahin Hai KHak Ke Aazar Se Pare in PDF.