Lamha Lamha Wusat-e-kaun-o-makan Ki Sair Ki

lamha lamha wusat-e-kaun-o-makan ki sair ki

aa gaya so KHub main ne KHak-dan ki sair ki

ek lamhe ke liye tanha nahin hone diya

KHud ko apne sath rakkha jis jahan ki sair ki

tujh se mil kar aaj andaza hua hai zindagi

pahle jitni ki wo goya raegan ki sair ki

nind se jage hain koi KHwab bhi dekha hai kya

dekha hai to boliye shab-bhar kahan ki sair ki

thak gaya tha main badan mein rahte rahte ek din

bhag nikla aur ja kar aasman ki sair ki

yaad hai ek ek gosha naqsh hai dil par hanuz

sair to wo hai jo shahr-e-dil-baran ki sair ki

phul hairat se hamein dekha kiye waqt-e-visal

gul-badan ke sath 'azar' gulistan ki sair ki

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamha Lamha Wusat-e-kaun-o-makan Ki Sair Ki In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Lamha Lamha Wusat-e-kaun-o-makan Ki Sair Ki is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Lamha Lamha Wusat-e-kaun-o-makan Ki Sair Ki for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Lamha Lamha Wusat-e-kaun-o-makan Ki Sair Ki in PDF.