Main SurKH Phul Ko Chhu Kar PalaTne Wala Tha

main surKH phul ko chhu kar palaTne wala tha

wo jazb tha ki mera jism kaTne wala tha

us ek rang se paida hui ye qaus-e-quzah

wo ek rang jo manzar se haTne wala tha

mere qarib hi ek taq mein kitaben thin

magar ye dhyan kahin aur baTne wala tha

ajib shan se utri thi dhup KHwahish ki

main apne sae se jaise lipaTne wala tha

tawil guftugu hoti rahi sitaron se

nigar-KHana-e-hasti ulaTne wala tha

zamin pe aamad-e-adam ka shor barpa hua

wagarna rizq farishton mein baTne wala tha

KHuda ka shukr hai nashsha utar gaya mera

ki main subu mein samundar ulaTne wala tha

lapak rahi thi koi aag is taraf 'azar'

main us se dur bahut dur haTne wala tha

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main SurKH Phul Ko Chhu Kar PalaTne Wala Tha In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Main SurKH Phul Ko Chhu Kar PalaTne Wala Tha is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Main SurKH Phul Ko Chhu Kar PalaTne Wala Tha for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Main SurKH Phul Ko Chhu Kar PalaTne Wala Tha in PDF.