MaKHfi Hain Abhi Dirham-o-dinar Hamare

maKHfi hain abhi dirham-o-dinar hamare

miTTi se nikal aaenge ashjar hamare

alfaz se khinchi gai taswir-e-do-alam

aawaz mein rakkhe gae aasar hamare

zangar kiya jata hai aaina-e-taKHliq

aur naqsh chale jate hain bekar hamare

kuchh zaKHm dikha sakta hai ye rauzan-e-diwar

kuchh bhed bata sakti hai diwar hamare

kyun chaar anasir rahen paband-e-shab-o-roz

aazad kiye jaen giraftar hamare

kyun sham se viran kiya jata hai hum ko

kyun band kiye jate hain bazar hamare

kya aap se ab saKHti-e-be-ja ki shikayat

jab aap hue malik-o-muKHtar hamare

tahsin-talab rahte hain ta-umr ki 'azar'

paida hi nahin hote taraf-dar hamare

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MaKHfi Hain Abhi Dirham-o-dinar Hamare In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. MaKHfi Hain Abhi Dirham-o-dinar Hamare is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem MaKHfi Hain Abhi Dirham-o-dinar Hamare for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download MaKHfi Hain Abhi Dirham-o-dinar Hamare in PDF.