Manzar Se Udhar KHwab Ki Paspai Se Aage

manzar se udhar KHwab ki paspai se aage

main dekh raha hun had-e-binai se aage

ye 'qais' ki masnad hai so zeba hai usi ko

hai ishq sarasar meri danai se aage

shayad mere ajdad ko malum nahin tha

ek bagh hai is dasht ki ranai se aage

sab dekh rahi thi pas-e-diwar tha jo kuchh

thi chashm-e-tamashai tamashai se aage

hum qafiya-paimai ke chakkar mein paDe hain

hai sinf-e-ghazal qafiya-paimai se aage

ek din jo yunhi parda-e-aflak uThaya

barpa tha tamasha koi tanhai se aage

mujh kaghzi kashti pe nazar kijiye 'azar'

baDhti hai jo lahron ki tawanai se aage

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzar Se Udhar KHwab Ki Paspai Se Aage In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Manzar Se Udhar KHwab Ki Paspai Se Aage is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Manzar Se Udhar KHwab Ki Paspai Se Aage for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Manzar Se Udhar KHwab Ki Paspai Se Aage in PDF.