Mumkin Hai Ki Milte Koi Dam Donon Kinare

mumkin hai ki milte koi dam donon kinare

ek mauj ke muhtaj the hum donon kinare

yun aankh jhapakta nahin bahta hua pani

manzar mein na ho jaen baham donon kinare

aabaad hamesha hi rahega ye samundar

rakhte hain machheron ka bharam donon kinare

ta-umr kisi maja-e-KHush-rau ki hawas mein

bedar rahe dam hama-dam donon kinare

khulti hai yahan aa ke mere KHwab ki wusat

hote hain meri aankh mein zam donon kinare

ye fasla miTTi se kabhi tai nahin hoga

dariya ki hain wusat pe qasam donon kinare

sab sair ko niklenge sar-e-sahil-e-har-KHwab

sayyahon ke chumenge qadam donon kinare

kashti ki tarah umr KHizar-gir hai 'azar'

hasti ke hain maujud-o-adam donon kinare

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mumkin Hai Ki Milte Koi Dam Donon Kinare In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Mumkin Hai Ki Milte Koi Dam Donon Kinare is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Mumkin Hai Ki Milte Koi Dam Donon Kinare for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Mumkin Hai Ki Milte Koi Dam Donon Kinare in PDF.