Zamin Apne Hi Mehwar Se HaT Rahi Hogi

zamin apne hi mehwar se haT rahi hogi

wo din bhi dur nahin zist chhaT rahi hogi

baDha raha hai ye ehsas meri dhaDkan ko

ghaDi mein sui ki raftar ghaT rahi hogi

main jaan lunga ki ab sans ghuTne wala hai

hare daraKHt se jab shaKH kaT rahi hogi

nae safar pe rawana kiya gaya hai tumhein

tumhaare panw se dharti lipaT rahi hogi

ghalat kaha tha kisi ne ye ganw walon se

chalo ki shahr mein KHairaat baT rahi hogi

falak ki samt uchhaali thi jal-pari main ne

sitare hath mein le kar palaT rahi hogi

badan mein phail rahi hai ye kaenat 'azar'

hamari aankh ki putli simaT rahi hogi

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Apne Hi Mehwar Se HaT Rahi Hogi In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Zamin Apne Hi Mehwar Se HaT Rahi Hogi is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Zamin Apne Hi Mehwar Se HaT Rahi Hogi for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Zamin Apne Hi Mehwar Se HaT Rahi Hogi in PDF.