Yun Dida-e-KHun-bar Ke Manzar Se UTha Main

yun dida-e-KHun-bar ke manzar se uTha main

tufan uTha mujh mein samundar se uTha main

uThne ke liye qasd kiya main ne bala ka

ab log ye kahte hain muqaddar se uTha main

pahle to KHad-o-KHal banae sar-e-qirtas

phir apne KHad-o-KHal ke andar se uTha main

ek aur tarah mujh pe khuli chashm-e-tamasha

ek aur tajalli ke barabar se uTha main

hai teri meri zat ki yaktai barabar

ghaeb se to ubhra to mayassar se uTha main

kya jaane kahan jaane ki jaldi thi dam-e-fajr

suraj se zara pahle hi bistar se uTha main

pathrane lage the mere aasab koi dam

KHamosh nigahon ke barabar se uTha main

ek aag mere jism mein mahfuz thi 'azar'

KHas-KHana-e-zulmat ke andar se uTha main

(712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Dida-e-KHun-bar Ke Manzar Se UTha Main In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Yun Dida-e-KHun-bar Ke Manzar Se UTha Main is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Yun Dida-e-KHun-bar Ke Manzar Se UTha Main for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Yun Dida-e-KHun-bar Ke Manzar Se UTha Main in PDF.