Husn Par Etibar Had Kar Di

husn par e'tibar had kar di

aap ne bhi 'figar' had kar di

aadmi shahkar-e-fitrat hai

mere parwardigar had kar di

sham-e-gham subh-e-hashr tak pahunchi

ai shab-e-intizar had kar di

ek shadi to Thik hai lekin

ek do tin chaar had kar di

zauja aur rickshaw mein are tauba

dashta aur ba-kar had kar di

chhe mahine ke baad nikla hai

aap ka hafta-war had kar di

ghar se bhage to koi baat nahin

zindagi se farar had kar di

ek misre mein masnawi likh di

is qadar iKHtisar had kar di

kya murassa ghazal kahi hai 'figar'

aaj to tu ne yar had kar di

(1105) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Par Etibar Had Kar Di In English By Famous Poet Dilawar Figar. Husn Par Etibar Had Kar Di is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Husn Par Etibar Had Kar Di for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Husn Par Etibar Had Kar Di in PDF.