Jada-e-fan Mein BaDe SaKHt Maqam Aate Hain

jada-e-fan mein baDe saKHt maqam aate hain

mar ke rah jata hai fankar amar hone tak

kitne ghaalib the jo paida hue aur mar bhi gae

qadr-danon ko taKHallus ki KHabar hone tak

kitne iqbaal rah-e-fikr mein uTThe lekin

rasta bhul gae KHatm-e-safar hone tak

kitne shabbir-hasan-KHan na bane 'josh' kabhi

mar gae kitne sikandar bhi jigar hone tak

'faiz' ka rang bhi ashaar mein aa sakta tha

ungliyan sath to den KHun mein tar hone tak

chand zarron hi ko milti hai ziya-e-KHurshid

chand tare hi chamakte hain sahar hone tak

dil-e-shair pe kuchh aisi hi guzarti hai 'figar'

jo kisi qatre pe guzre hai guhar hone tak

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jada-e-fan Mein BaDe SaKHt Maqam Aate Hain In English By Famous Poet Dilawar Figar. Jada-e-fan Mein BaDe SaKHt Maqam Aate Hain is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Jada-e-fan Mein BaDe SaKHt Maqam Aate Hain for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Jada-e-fan Mein BaDe SaKHt Maqam Aate Hain in PDF.