Ahmaqon Ki Conference

ek KHabar hum ne paDhi thi kal kisi aKHbar mein

ahmaqon ka ek jalsa tha kahin bazar mein

har namune ka chughad hazir tha is darbar mein

jaise har Type ka aashiq kucha-e-dildar mein

tha har ek mehman yahan na-KHwanda o KHud-saKHta

koi un mein sahib-e-dil tha koi dil-baKHta

sab se pahle ek baDa ahmaq hua yun shoala-bar

gentleman and ladies aar what ewer yu aar

aaj aasab-e-watan par aql-o-danish hain sawar

KHatm hota ja raha hai ahmaqon ka eqtidar

ahmaqo jago tumhaari aabru KHatre mein hai

jis ke sakin ho wo shahr-e-arzu KHatre mein hai

har himaqat ka koi mafhum hona chahiye

kyun himaqat ki gai malum hona chahiye

aadmi ko aql se mahrum hona chahiye

kya zarurat hai huma ki bum hona chahiye

is liye hum ne banaya hai ye manifesto

man tera ahmaq bagoyam tu mura ahmaq bago

bhulti jati hai duniya ab ye qaul-e-mustanad

aql chun puKHta shawad insan ahmaq mi shawad

fitratan ahmaq ho jo insan nahin hota wo bad

wo himaqat sab se achchhi kuchh nahin ho jis ki had

kuchh sahi ek KHar mohabbat us ka nasabulain hai

wo bhi us insan se achchha hai jo business-main hai

ab raha ye masala kapDe nahin hain apne pas

is ke bare mein resolution kiya jaega pas

atlas o kam-KHwab ko hum nahin aaenge ras

sab se achchha hai ki pahnen log patton ka libas

nariyal aur kele ka pata ho ya injir ka

qudrati ho pairahan har paikar-e-taswir ka

(1528) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahmaqon Ki Conference In English By Famous Poet Dilawar Figar. Ahmaqon Ki Conference is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Ahmaqon Ki Conference for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Ahmaqon Ki Conference in PDF.