Allama-iqbaal Ko Shikwa

kisi se KHwab mein 'iqbaal' ne ye farmaya

ki tu ne kar diya barbaad mera sarmaya

mera kalam gawayyon ko saunpne wale

nazar na aae tujhe mere qalb ke chhaale

main chahta tha musalman muttahid ho jaen

ye kab kaha tha ki hum bahr-e-munjamid ho jaen

meri ye shan ki dariya bhi tha mera muhtaj

tera ye haal ki mulkon se mangta hai KHiraj

kaha tha main ne gharibi mein nam paida kar

ye kab kaha tha ki mal-e-haram paida kar

mera tariq amiri nahin faqiri hai

teri KHurak chapati nahin KHamiri hai

ilaj aatish-e-rumi ke soz mein hai tera

KHayal shabnam o zeba ke pose mein hai tera

mere kalam se tujh ko sabaq zara na mila

kahan ki rah-e-haram ghar ka rasta na mila

KHudi buland ho be-shak yahi thi meri rae

ye kab kaha tha ki qawwal is mein hath lagae

(1678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Allama-iqbaal Ko Shikwa In English By Famous Poet Dilawar Figar. Allama-iqbaal Ko Shikwa is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Allama-iqbaal Ko Shikwa for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Allama-iqbaal Ko Shikwa in PDF.