Eliots-girls-college Aur Kul Pak O Hind Mushaera

ek aise daur mein aqdar par jab hai sawal

mahfil-e-sher-o-adab karna hai ek amr-e-muhaal

mahfil-e-sher-o-suKHan aur wo bhi international

hai unhi ka kaam jin se ab bhi zinda hai ghazal

hai adab zinda ki kuchh KHuddam aise ab bhi hain

KHidmat-e-urdu ko jin ke pas paise ab bhi hain

ye idare bhi na karte kaam agar fanus ka

kuchh na puchho haal kya hota dil-e-mayus ka

ye idare bhi na honge jab to hai is ka bhi Dar

chalti-phirti shaeri hogi yahan har road par

gashti shaer road par ja kar lagae ye sada

sher san lo road par hazir hai KHadim aap ka

sher san lo ek misra bhi nahin jis mein ghalat

paise dena ya na dena dad de dena faqat

Thele par diwan laya hai ye shaKHs is se milo

is ki ghazlon ka naya majmua do rupe kilo

kaam lo shaer se KHidmat jis ka qaumi farz hai

road par aa kar wo KHud kahta hai matla arz hai

qafiye ki chul Dhili hai to kaswa lo abhi

hil rahi hain jo radifen hum se Thukwa lo sabhi

aaj ye manzar nazar aate nahin jo chaar-su

wajh is ki kuchh idare hain adab ki aabru

wo idare hain jo ab bhi sarparast-e-sher-o-fan

in mein hai ek eliot-college bhi meamar-e-watan

'tabish' o 'kaifi' 'qatil' o 'bedi' o ahmad-'nadim'

eliot-college mein aaya hai jo shaer hai azim

eliot-college mein yaum-e-'faiz' manwaya gaya

yan 'rais'-amrohwi ko yaad farmaya gaya

eliot-college hi wo wahid idara hai yahan

zer-e-talim ab jahan hain laDkiyan hi laDkiyan

daur-e-amezish mein jab har chiz mein hai imtizaj

eliot-college mein KHalis laDkiyan paDhti hain aaj

eliot-college se paya hai jo sidha rasta

laDkiyan hain zewar-e-talim se aarasta

daur-e-hazir mein to har man bap ki hai ye dua

laDki de tu eliot-college mein paDhwae KHuda

mujh se kal ye kahta tha ek educated idiot

eliot-college ke bani honge TS-eliot

main ne us ko jab bataya shaukat-e-zaidi ka nam

bola phir un donon ne mil kar kya hoga ye kaam

kaun samjhae use jis mein kami knowledge ki hai?

shan-o-shaukat shaukat-e-zaidi se is college ki hai

(1647) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Eliots-girls-college Aur Kul Pak O Hind Mushaera In English By Famous Poet Dilawar Figar. Eliots-girls-college Aur Kul Pak O Hind Mushaera is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Eliots-girls-college Aur Kul Pak O Hind Mushaera for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Eliots-girls-college Aur Kul Pak O Hind Mushaera in PDF.