Cricket Aur Mushaira

mushaire ka bhi tafrih aim hota hai

mushaire mein bhi cricket ka game hota hai

wahan jo log khilaDi hain wo yahan shaer

yahan jo sadr-nashin hai wahan hai empire

wahan pe shart ki ho zor-e-bazu-e-mahmud

yahan ye qaid ki ho lahn-e-hazrat-e-daood

wahan tamaddun-e-mashriq ki maut ka gham hai

yahan adab ke janaza pe shor-e-matam hai

wahan riyaz-e-musalsal se kaam chalta hai

yahan gale ke sahaare kalam chalta hai

wahan bhi khel mein no-ball ho to faul hai

yahan bhi sher mein ihmal ho to faul hai

wahan hai LBW yahan ye chakkar hai

ki andalib muannas hai ya muzakkar hai

wahan bhi sirf muqaddar ka khel hota hai

jo unlucky hai yahan bhi wo fail hota hai

wahan hai ek hi kaptan puri team ki jaan

yahan har ek player bajae KHud kaptan

yahan kuchh aise bhi kaptan pae jate hain

jo ran banate nahin hiT lagae jate hain

wahan jo log anaDi hain waqt kaTte hain

yahan bhi kuchh mutashaer dimagh chaTte hain

hua kare agar score us ka zero hai

yahan jo shaKHs phisaDDi hai wo bhi hero hai

nigah jin ki pahunchti hai hashw o ita par

bana diya hai yahan un ko back stoper

adab-nawaz pe shout yahan bhi hote hain

ye bad-nasib ran-out yahan bhi hote hain

'hanif' bhi koi bogus cricketer to nahin

magar 'asar' se ziyaada free-hiter to nahin

baja hai 'fazl' ke sixer pe marhaba kahna

magar 'firaq' ki baundary ka kya kahna

mere KHayal ko ahl-e-nazar karenge catch

mushaira bhi hai ek tarah ka cricket match

(3868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Cricket Aur Mushaira In English By Famous Poet Dilawar Figar. Cricket Aur Mushaira is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Cricket Aur Mushaira for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Cricket Aur Mushaira in PDF.