Laila Majnun Ki Shadi

ek sahib ne kiya hai radio par ye sawal

qais agar laila ka bar hota to kya hota maal

hum ye kahte hain ye istifsar qabl-az-waqt hai

kyun nahin tai pai shadi pahle ye kar lije tai

aalimon ke muKHtalif aqwal hain is bab mein

muKHtalif bahsen hui hain halqa-e-ahbab mein

ek riwayat ye bhi hai laila se ghabraata tha qais

manzil-e-shadi se ghabra kar guzar jata tha qais

ek riwayat ye bhi hai wo byah ke qabil na tha

warna laila ko bhaga lena koi mushkil na tha

ek riwayat ye bhi hai laila ki man thi bad-chalan

wo to banna chahti thi KHud hi majnun ki dulhan

ek riwayat ye bhi hai haalanki hai to kuchh zaif

KHandani taur par majnun nahin tha kuchh sharif

ye bhi kahte hain ki majnun byah ko raazi na tha

ye bhi sunte hain ki sahra mein koi qazi na tha

ek riwayat ye bhi hai jhuTe hain sab 'faiz' o 'firaq'

likhne walon ne kiya hai paDhne walon se mazaq

ek riwayat ye bhi hai jhagDe ka bais tha jahez

hazrat-e-laila ke ghar mein koi kursi thi na mez

ye bhi sunte hain ki jab laila ke ghar pahunchi baraat

madar-e-laila ne KHud hi rok di shadi ki baat

dekh kar majnun ka chehra us ki side aur back

madar-e-laila ne farmaya ye laDka hai crack

ye nahin karne ka shadi kije mera e'tibar

mujh se shadi ko bhi aaya tha yahi ummid-war

aalimon ke darmiyan jab is qadar ho iKHtilaf

aap hi kahiye ye qissa kya samajh mein aae saf

(2162) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laila Majnun Ki Shadi In English By Famous Poet Dilawar Figar. Laila Majnun Ki Shadi is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Laila Majnun Ki Shadi for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Laila Majnun Ki Shadi in PDF.