London Mein Jashn-e-ghaalib

london mein jashn-e-hazrat-e-'ghaalib' ki raat thi

tariKH-e-shaeri mein ye ek wardat thi

is jashn mein sharik the har mulk ke wafud

hal ho gaya tha masala-e-wahdat-ul-wajud

jannat se mirza ko jo kankard le chala

pur ho gaya safar se jo tha rah mein KHala

mirza ke pas box mein tambaku thi faqat

custam ke afsaron ne use samjha hi ghalat

afsar ne passport jo un se talab kiya

kahne lage ki aap ne ye kya ghazab kiya

sach baat to yahi hai wo ab nek ho ki bad

mulkon ki sarhadon ko nahin mante 'asad'

tariKH ki hai fikr na jughrafie ki hai

shaer hun main talash mujhe qafiye ki hai

aam aadmi ki tarah mera passport kyun

main andalib-e-gulshan-e-na-afrida hun

main kab yahan makan banane ko aaya hun

london mein apna jashn manane ko aaya hun

angrez ke qaside jo likkhe the yaad hain

nazmen kuchh aur bhi hain jo muhtaj-e-dad hain

mujh ko numud-o-nam ki parwa nahin magar

bulwaya bbc ne to pahunchunga waqt par

'ghaalib' jo restoran mein pahunche ba-waqt-e-sham

baire se ye kaha ki karo mera intizam

mangwao wo jo aatish-e-sayyal pas hai

is balghami mizaj ko garmi hi ras hai

stage par jo ho gae ab jalwa-gar asad

ustad 'zauq' jalne lage az-rah-e-hasad

nazim mushaere ka ye bola ki hazirin

'ghaalib' ko dekhne ko na aaen tamash-bin

'ghaalib' ki shaKHsiyyat mein mahasin hain be-shumar

ye aadmi wali tha na hota jo baada-KHwar

ye shaKHs jis ko waqt ne buDha banaya hai

hum ne ise baraat ka dulha banaya hai

biwi se baat kije na sali se puchhiye

'ghaalib' ka kya maqam hai haali se puchhiye

sehhat se kam nahin hai use bahra-pan ka rog

bahra jo is ko kahte hain be-bahra hain wo log

be-tegh kyun laDega ye shaer jo hai jari

sau pusht se hai pesha-e-aba sipah-gari

ye chahta hai ghar mein teri jalwa-gah ho

dekho ise jo dida-e-ibrat nigah ho

tahzib o fan ko rang-e-mughal is ne de diya

urdu ko ek taj mahal is ne de diya

is ne zaban-e-'mir' ko hindi ka ras diya

urdu ghazal ko is ne naya canwas diya

'ghaalib' jo apne jashn mein baiThe hain shan se

in ka kalam suniye ab in ki zaban se

'ghaalib' ne tis ghazlen sunain jo subh tak

har sher note karta raha munshi-e-falak

taqrib jab ye KHatm hui subh ke qarib

stage ko jo dekha to ghaeb the sab adib

jalsa mein muhtamim ka bhi koi pata na tha

dariyan thin gao takiye the aur shamiyana tha

kya puchhte ho haal jo 'ghaalib' ka aaj tha

pocket mein ek paisa na tha sar pe taj tha

(2394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

London Mein Jashn-e-ghaalib In English By Famous Poet Dilawar Figar. London Mein Jashn-e-ghaalib is written by Dilawar Figar. Read famous Poem London Mein Jashn-e-ghaalib for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download London Mein Jashn-e-ghaalib in PDF.