Jab Koi ZaKHm Ubharta Hai Kinaron Jaisa

jab koi zaKHm ubharta hai kinaron jaisa

dil taDapta hai mera mauj ke dhaaron jaisa

jab koi aks chamakta hai sitaron jaisa

mera qad bhi nazar aata hai minaron jaisa

tere hi dar pe mujhe aa ke sukun milta hai

ek sahaara bhi nahin tere sahaaron jaisa

aaj bhi sab ke dilon pe hai hukumat jis ki

wo chaTai pe bhi lagta hai dularon jaisa

mere hi dam se mahakta hai gulistan phir bhi

sab ki aankhon mein khaTakta hun main KHaron jaisa

ab to sukhe hue patte hi nazar aate hain

mere aangan mein bahut kuchh tha bahaaron jaisa

aaina kaun dikhaega mujhe ai 'dildar'

mere dushman ka bhi bartaw hai yaron jaisa

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Koi ZaKHm Ubharta Hai Kinaron Jaisa In English By Famous Poet Dildar Hashmi. Jab Koi ZaKHm Ubharta Hai Kinaron Jaisa is written by Dildar Hashmi. Read famous Poem Jab Koi ZaKHm Ubharta Hai Kinaron Jaisa for youth and Student by Dildar Hashmi. Free Download Jab Koi ZaKHm Ubharta Hai Kinaron Jaisa in PDF.