Chaak Par MiTTi Ko Mar Jaana Hai

chaak par miTTi ko mar jaana hai

KHwab-e-tamir bikhar jaana hai

hum ko us dasht mein jaana hoga

wahshaton ka yahi harjaana hai

sahibo hum hain usi saf ke log

jin se sahra ko sanwar jaana hai

samne hashr ki had hai sahab

ab hamein lauT ke ghar jaana hai

qabr-gah hain sadaon ki yahan

bas yahin hum ko bhi mar jaana hai

tum ko khone ka tumhein pane ka

hum ne har qism ka Dar jaana hai

koi bhi rah nahin hai us tak

hum ko malum hai par jaana hai

lo nazar aane laga us ka hashr

qafile walo Thahar jaana hai

kis liye tairna ashkon mein sada

ab tah-e-dida-e-tar jaana hai

wo 'dinesh' us ki gali hai aage

dekh lo tum ko kidhar jaana hai

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaak Par MiTTi Ko Mar Jaana Hai In English By Famous Poet Dinesh Naaidu. Chaak Par MiTTi Ko Mar Jaana Hai is written by Dinesh Naaidu. Read famous Poem Chaak Par MiTTi Ko Mar Jaana Hai for youth and Student by Dinesh Naaidu. Free Download Chaak Par MiTTi Ko Mar Jaana Hai in PDF.