Hazaron Bar Kah Kar Bewafa Ko Ba-wafa Maine

hazaron bar kah kar bewafa ko ba-wafa main ne

bataya hai zamane ko wafa ka rasta main ne

baDi izzat se ahl-e-jurm mera nam lete hain

gunahgaron ko ek din kah diya tha parsa main ne

tum apne aap ko kuchh bhi kaho mazhab ke diwano

na dekha koi tum jaisa KHuda-na-ashna main ne

jala kar zulmat-e-baatil mein haq ki mishalen yaro

zamane ko banaya hai haqiqat-ashna main ne

gharaz dair o haram se hai na matlab hai kalisa se

jahan jalwa nazar aaya tera sajda kiya main ne

bahut hi mo'tabar hun kyun ki main rahi hun ai 'rahi'

qasam le lo agar KHud ko kaha ho rahnuma main ne

(1328) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazaron Bar Kah Kar Bewafa Ko Ba-wafa Maine In English By Famous Poet Divakar Rahi. Hazaron Bar Kah Kar Bewafa Ko Ba-wafa Maine is written by Divakar Rahi. Read famous Poem Hazaron Bar Kah Kar Bewafa Ko Ba-wafa Maine for youth and Student by Divakar Rahi. Free Download Hazaron Bar Kah Kar Bewafa Ko Ba-wafa Maine in PDF.