Hai Nigahon Mein Koh-e-tur Miyan

hai nigahon mein koh-e-tur miyan

main nahin hun KHuda se dur miyan

wo bhi taqrir kar rahe hain jinhen

bolne ka nahin shuur miyan

le na Dube teri ibaadat ko

zohd-o-taqwa ka ye ghurur miyan

mere munh mein nahin zaban aisi

bolti jo hai ji-huzur miyan

rah ke dilli mein bhi ye lagta hai

ab bhi dilli bahut hai dur miyan

ek maqtal thi mahfil-e-yaran

hum hi zulmat ko samjhe nur miyan

KHub hain sajda-reziyan teri

nafs par bhi to ho ubur miyan

(1422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Nigahon Mein Koh-e-tur Miyan In English By Famous Poet Dr. Azam. Hai Nigahon Mein Koh-e-tur Miyan is written by Dr. Azam. Read famous Poem Hai Nigahon Mein Koh-e-tur Miyan for youth and Student by Dr. Azam. Free Download Hai Nigahon Mein Koh-e-tur Miyan in PDF.