Har ShaKHs Mein Kuchh Log Kami DhunD Rahe Hain

har shaKHs mein kuchh log kami DhunD rahe hain

nadan hain musbat mein nafi DhunD rahe hain

gul DhunD rahe hain na kali DhunD rahe hain

gulshan mein bas ek shaKH hari DhunD rahe hain

is yug mein kahan hum bhi wali DhunD rahe hain

insan mein sifat-e-bashari DhunD rahe hain

baadal ki siyahi mein kiran jaisi chamakti

har gham mein chhipi hum bhi KHushi DhunD rahe hain

ek sher jo mauzun nahin kar pae hain ab tak

'ghaalib' ki ghazal mein bhi kami DhunD rahe hain

muddat se taqaza hai ki lauTa do mera dil

muddat se bahana hai abhi DhunD rahe hain

tahzib-o-tamaddun ko KHulus aur wafa ko

'azam' hi nahin aaj sabhi DhunD rahe hain

(1347) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har ShaKHs Mein Kuchh Log Kami DhunD Rahe Hain In English By Famous Poet Dr. Azam. Har ShaKHs Mein Kuchh Log Kami DhunD Rahe Hain is written by Dr. Azam. Read famous Poem Har ShaKHs Mein Kuchh Log Kami DhunD Rahe Hain for youth and Student by Dr. Azam. Free Download Har ShaKHs Mein Kuchh Log Kami DhunD Rahe Hain in PDF.