Ishq Ko Taqlid Se Aazad Kar

ishq ko taqlid se aazad kar

dil se girya aankh se fariyaad kar

baz aa ai banda-e-husn-e-majaz

yun na apni zindagi barbaad kar

ai KHayalon ke makin nazron se dur

meri viran KHalwaten aabaad kar

naza mein hichki nahin aai mujhe

bhulne wale KHuda-ra yaad kar

husn ko duniya ki aankhon se na dekh

apni ek tarz-e-nazar ijad kar

ishrat-e-duniya hai ek KHwab-e-bahaar

kaba-e-dil dard se aabaad kar

ab kahan 'ehsan' duniya mein wafa

tauba kar nadan KHuda ko yaad kar

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ko Taqlid Se Aazad Kar In English By Famous Poet Ehsan Danish. Ishq Ko Taqlid Se Aazad Kar is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Ishq Ko Taqlid Se Aazad Kar for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Ishq Ko Taqlid Se Aazad Kar in PDF.