Ishq Ki Duniya Mein Ek Hangama Barpa Kar Diya

ishq ki duniya mein ek hangama barpa kar diya

ai KHayal-e-dost ye kya ho gaya kya kar diya

zarre zarre ne mera afsana sun kar dad di

main ne wahshat mein jahan ko tera shaida kar diya

tur par rah-e-wafa mein bo diye kanTe kalim

ishq ki wusat ko masdud-e-taqaza kar diya

bistar-e-mashriq se suraj ne uThaya apna sar

kis ne ye mahfil mein zikr-e-husn-e-yakta kar diya

chashm-e-nargis ja-e-shabnam KHun roegi nadim

main ne jis din gulsitan ka raaz ifsha kar diya

qais ye meraj-e-ulfat hai ki ejaz-e-junun

najd ke har zarre ko taswir-e-laila kar diya

muddaa-e-dil kahun 'ehsan' kis ummid par

wo jo chahenge karenge aur jo chaha kar diya

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ki Duniya Mein Ek Hangama Barpa Kar Diya In English By Famous Poet Ehsan Danish. Ishq Ki Duniya Mein Ek Hangama Barpa Kar Diya is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Ishq Ki Duniya Mein Ek Hangama Barpa Kar Diya for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Ishq Ki Duniya Mein Ek Hangama Barpa Kar Diya in PDF.