Mausam Se Rang-o-bu Hain KHafa Dekhte Chalo

mausam se rang-o-bu hain KHafa dekhte chalo

ye kya chali chaman mein hawa dekhte chalo

ambar har taraf hain andheron ke ye durust

shayad nahin ho aab-e-baqa dekhte chalo

taskin-e-sumbul-o-gul-o-lala ke waste

kya de rahi hai baad-e-saba dekhte chalo

jitne the jaan-nisar-e-chaman baad-e-subh-e-nau

kuchh ajr bhi kisi ko mila dekhte chalo

asnam-e-zar ke panw mein Dale hue jabin

kitne hain bandagan-e-KHuda dekhte chalo

kis kis ka e'timad-e-wafa ho gaya shikast

kis kis ko husn se hai gila dekhte chalo

'danish' ko zid hai dair o haram bhi sahi magar

kis ko mila hai in ka pata dekhte chalo

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam Se Rang-o-bu Hain KHafa Dekhte Chalo In English By Famous Poet Ehsan Danish. Mausam Se Rang-o-bu Hain KHafa Dekhte Chalo is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Mausam Se Rang-o-bu Hain KHafa Dekhte Chalo for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Mausam Se Rang-o-bu Hain KHafa Dekhte Chalo in PDF.