Kuchh Log Jo Sawar Hain Kaghaz Ki Naw Par

kuchh log jo sawar hain kaghaz ki naw par

tohmat tarashte hain hawa ke dabaw par

mausam hai sard-mehr lahu hai jamaw par

chaupal chup hai bhiD lagi hai alaw par

sab chandni se KHush hain kisi ko KHabar nahin

phaha hai mahtab ka gardun ke ghaw par

ab wo kisi bisat ki fehrist mein nahin

jin manchalon ne jaan laga di thi daw par

suraj ke samne hain nae din ke marhale

ab raat ja chuki hai guzishta paDaw par

gul-dan par hai naram sawere ki zard dhup

halqa bana hai kanpti kirnon ka ghaw par

yun KHud-farebiyon mein safar ho raha hai tai

baiThe hain pul pe aur nazar hai bahaw par

mausam se saz ghairat-e-gulshan se be-niyaz

hairat hai mujh ko apne chaman ke subhaw par

kya daur hai ki marham-e-zangar ki jagah

ab chaara-gar sharab chhiDakte hain ghaw par

tajir yahan agar hain yahi ghairat-e-yahud

pani bikega KHun-e-shahidan ke bhaw par

pahle kabhi riwaj bani thi na be-hisi

nadim bigaD par hain na KHush mein banaw par

har rang se payam utarte hain ruh mein

paDti hai jab nigah dhanak ke jhukaw par

'danish' mere sharik-e-safar hain wo kaj-mizaj

sahil ne jin ko phenk diya hai bahaw par

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Log Jo Sawar Hain Kaghaz Ki Naw Par In English By Famous Poet Ehsan Danish. Kuchh Log Jo Sawar Hain Kaghaz Ki Naw Par is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Kuchh Log Jo Sawar Hain Kaghaz Ki Naw Par for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Kuchh Log Jo Sawar Hain Kaghaz Ki Naw Par in PDF.