Kal Raat Kuchh Ajib Saman Gham-kade Mein Tha

kal raat kuchh ajib saman gham-kade mein tha

main jis ko DhunDhta tha mere aaine mein tha

jis ki nigah mein thin sitaron ki manzilen

wo mir-e-kaenat usi qafile mein tha

rahgir sun rahe the ye kis jashn-e-nau ka shor

kal raat mera zikr ye kis silsile mein tha

raqsan the rind jaise bhanwar mein shafaq ke phul

jo panw paD raha tha baDe qaede mein tha

chhiDka jise adam ke samundar pe aap ne

sahra tamam KHak ke us bulbule mein tha

mannat-guzar-e-ahl-e-hawas ho saka na dil

hail mera zamir mere raste mein tha

hai farz is ata-e-junun ka bhi shukriya

lekin ye be-shumar karam kis sile mein tha

ab aa ke kah rahe ho ki ruswai se Daro

ye baal to kabhi ka mere aaine mein tha

sunta hun sar-nigun the farishte mere huzur

main jaane apni zat ke kis marhale mein tha

hain sabt mere dil pe zamane ki Thokaren

main ek sang-e-rah tha jis raste mein tha

kuchh bhi na tha azal mein ba-juz shoala-e-wajud

han dur tak adam ka dhuan hashiye mein tha

main ne jo apna nam pukara to hans paDa

ye mujh sa kaun shaKHs mere raste mein tha

thi nuqta-e-nigah tak aazadi-e-amal

parkar ki tarah main rawan daere mein tha

zanjir ki sada thi na mauj-e-shamim-e-zulf

ye kya tilism un ke mere fasle mein tha

ab ruh e'tiraf-e-badan se hai munharif

ek ye bhi sang-e-mil mere raste mein tha

'danish' kai nasheb-e-nazar se guzar gae

har rind aaine ki tarah mai-kade mein tha

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Raat Kuchh Ajib Saman Gham-kade Mein Tha In English By Famous Poet Ehsan Danish. Kal Raat Kuchh Ajib Saman Gham-kade Mein Tha is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Kal Raat Kuchh Ajib Saman Gham-kade Mein Tha for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Kal Raat Kuchh Ajib Saman Gham-kade Mein Tha in PDF.