Kabhi Kabhi Jo Wo Ghurbat-kade Mein Aae Hain

kabhi kabhi jo wo ghurbat-kade mein aae hain

mere bahe hue aansu jabin pe lae hain

na sarguzisht-e-safar puchh muKHtasar ye hai

ki apne naqsh-e-qadam hum ne KHud miTae hain

nazar na toD saki aansuon ki chilman ko

wo roz agarche mere aaine mein aae hain

us ek shama se utre hain baam-o-dar ke libas

us ek lau ne baDe phul-ban jalae hain

ye dopahar ye zamin par lipa hua suraj

kahin daraKHt na diwar-o-dar ke sae hain

kali kali mein hai dharti ke dudh ki KHushbu

tamam phul usi ek man ke jae hain

nazar KHalaon pe aur intizar be-wada

ba-in amal bhi wo aankhon mein jhilmilae hain

fusun-e-sher se hum us mah-e-gurezan ko

KHalaon se sar-e-kaghaz utar lae hain

risala hath se rakhte na kyun wo sharma kar

ghazal paDhi hai to hum samne bhi aae hain

chale hain KHair se un ko pukarne 'danish'

magar wo yun to na aaenge aur na aae hain

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Kabhi Jo Wo Ghurbat-kade Mein Aae Hain In English By Famous Poet Ehsan Danish. Kabhi Kabhi Jo Wo Ghurbat-kade Mein Aae Hain is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Kabhi Kabhi Jo Wo Ghurbat-kade Mein Aae Hain for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Kabhi Kabhi Jo Wo Ghurbat-kade Mein Aae Hain in PDF.