Tum Achchhe Masiha Ho Dawa Kyun Nahin Dete

tum achchhe masiha ho dawa kyun nahin dete

be-nur jo hai shama bujha kyun nahin dete

be-nam hun be-nang hun zahir to hai tum par

gar rabt nahin dil se bhula kyun nahin dete

KHushbu ki tarah phul ki uTThunga chaman se

to phul ko zulfon se gira kyun nahin dete

pahunchunga kashakash mein jahan tum ne bulaya

tum hashr ke maidan se sada kyun nahin dete

mahfil mein agar raunaq-e-mahfil hai koi aur

ye baat bhi mahfil ko bata kyun nahin dete

ek bund si larzan hai sar-e-chashm-e-tamanna

nayab nahin aab gira kyun nahin dete

na-karda gunahon ki saza maut mili hai

phir karda-gunahon ki saza kyun nahin dete

zaKHmon ko mere dil pe agar dekh liya hai

daman se wafaon ki hawa kyun nahin dete

dekha tha kabhi hum ne mohabbat ka janaza

baqi hai agar kuchh to dikha kyun nahin dete

har lamha hamara hi fasana hai zaban par

hum kuchh bhi nahin hain to bhala kyun nahin dete

kar lenge har ek manzil-e-dushwar ko sar hum

ek jam mohabbat ka pila kyun nahin dete

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Achchhe Masiha Ho Dawa Kyun Nahin Dete In English By Famous Poet Ehsan Jafri. Tum Achchhe Masiha Ho Dawa Kyun Nahin Dete is written by Ehsan Jafri. Read famous Poem Tum Achchhe Masiha Ho Dawa Kyun Nahin Dete for youth and Student by Ehsan Jafri. Free Download Tum Achchhe Masiha Ho Dawa Kyun Nahin Dete in PDF.