Hadson Ka Silsila Manzar-ba-manzar Jam Gaya

hadson ka silsila manzar-ba-manzar jam gaya

har kisi ke dhaD pe ek firaun ka sar jam gaya

KHak ki kashti tale sone ka saghar jam gaya

dida-e-be-KHwab mein KHwab-e-sikandar jam gaya

mausamon ke bich ki duri ka andaza lagao

bah gae parbat pighal kar aur samundar jam gaya

laDkhaDa kar gir paDi unchi imarat dafatan

dafatan tamir ki kursi pe khanDar jam gaya

rifat-e-charKH-e-barin mahdud ho kar rah gai

jab saron par dhund ka saffak lashkar jam gaya

dida-e-gurba se kya phuTi shua-e-jaan-guza

phaDphaDaya tak nahin zinda kabutar jam gaya

ahl-e-duniya se mujhe to koi andesha na tha

nam tera kis liye mere labon par jam gaya

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hadson Ka Silsila Manzar-ba-manzar Jam Gaya In English By Famous Poet Ehteram Islam. Hadson Ka Silsila Manzar-ba-manzar Jam Gaya is written by Ehteram Islam. Read famous Poem Hadson Ka Silsila Manzar-ba-manzar Jam Gaya for youth and Student by Ehteram Islam. Free Download Hadson Ka Silsila Manzar-ba-manzar Jam Gaya in PDF.