SurKH Mausam Ki Kahani Hai Purani Ho Na Ho

surKH mausam ki kahani hai purani ho na ho

aasman ka rang aage aasmani ho na ho

KHwab mein mujh ko nazar aati hain bhigi sipiyan

aankh khulne par teri aankhon mein pani ho na ho

sath hoti hai mere har gam par sanjidgi

ho rahi hai dur ab mujh se jawani ho na ho

har jagah niklegi teri baat mujh ko dekh kar

tazkira tera kahin meri zabani ho na ho

raushni dete rahenge mujh ko zaKHmon ke charag

ab andhere mein kahin se zau-fishani ho na ho

ek taraf meri ana hai ek taraf teri KHushi

aa gaya mere liye pal imtihani ho na ho

zahr ka pani mein hona tai-shuda hai 'ehtiram'

aagahi ke ghaT par dariya mein pani ho na ho

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SurKH Mausam Ki Kahani Hai Purani Ho Na Ho In English By Famous Poet Ehteram Islam. SurKH Mausam Ki Kahani Hai Purani Ho Na Ho is written by Ehteram Islam. Read famous Poem SurKH Mausam Ki Kahani Hai Purani Ho Na Ho for youth and Student by Ehteram Islam. Free Download SurKH Mausam Ki Kahani Hai Purani Ho Na Ho in PDF.