Dekh Kar Jada-e-hasti Pe Subuk-gam Mujhe

dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe

dur se takti rahi gardish-e-ayyam mujhe

Dal kar ek nazar pyar ki meri jaanib

dost ne kar hi liya banda-e-be-dam mujhe

kal sunenge wahi muzhda meri aazadi ka

aaj jo dekh ke hanste hain tah-e-dam mujhe

dekh leta hun andhere mein ujale ki kiran

zulmat-e-shab ne diya subh ka paigham mujhe

na to jine hi mein lazzat hai na marne ki umang

un nigahon ne diya kaun sa paigham mujhe

main samajhta hun mujhe daulat-e-kaunain mili

kaun kahta hai ki wo kar gae badnam mujhe

garche aaghaz-e-mohabbat ne diye hain dhoke

liye jati hai kahin kawish-e-anjam mujhe

tera hi ho ke jo rah jaun to phir kya hoga

ai junun aur hain duniya mein bahut kaam mujhe

(1035) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Kar Jada-e-hasti Pe Subuk-gam Mujhe In English By Famous Poet Ehtisham Husain. Dekh Kar Jada-e-hasti Pe Subuk-gam Mujhe is written by Ehtisham Husain. Read famous Poem Dekh Kar Jada-e-hasti Pe Subuk-gam Mujhe for youth and Student by Ehtisham Husain. Free Download Dekh Kar Jada-e-hasti Pe Subuk-gam Mujhe in PDF.