Dar Dar Ke Jise Main Sun Raha Hun

Dar Dar ke jise main sun raha hun

khoi hui apni hi sada hun

har lamha-e-hijr ek sadi tha

puchho na ki kab se ji raha hun

jab aankh mein aa gae hain aansu

KHud bazm-e-tarab se uTh gaya hun

chhaTti nahin KHu-e-haq-shanasi

suqraat hun zahr pi raha hun

rahbar ki nahin mujhe zarurat

har rah ka moD jaanta hun

manzil na mili to gham nahin hai

apne ko to kho ke pa gaya hun

apni hi hawas thi sar-kashida

daman se ulajh ke gir paDa hun

uryani-e-fikr khul na jae

KHwabon ke libas si raha hun

har manzil-e-marg-afrin mein

sar-gashta-e-zindagi raha hun

dhabbe hain bahut se tirgi ke

kin raushniyon mein ghir gaya hun

(1041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar Dar Ke Jise Main Sun Raha Hun In English By Famous Poet Ehtisham Husain. Dar Dar Ke Jise Main Sun Raha Hun is written by Ehtisham Husain. Read famous Poem Dar Dar Ke Jise Main Sun Raha Hun for youth and Student by Ehtisham Husain. Free Download Dar Dar Ke Jise Main Sun Raha Hun in PDF.