Aql Pahunchi Jo Riwayat Ke Kashane Tak

aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak

ek hi rasm mili kaba se but-KHane tak

wadi-e-shab mein ujalon ka guzar ho kaise

dil jalae raho paigham-e-sahar aane tak

ye bhi dekha hai ki saqi se mila jam magar

honT tarse hue pahunche nahin paimane tak

regzaron mein kahin phul khila karte hain

raushni kho gai aa kar mere virane tak

ham-nashin kaT hi gaya daur-e-KHizan bhi aaKHir

zikr phulon ka raha fasl-e-bahaar aane tak

sari uljhan hai sukun ke liye ai shauq Thahar

gham ka tufan-e-bala-KHez guzar jaane tak

zehn mayus-e-karam shauq-e-nazara sarshaar

hosh mein kaise rahun un ka payam aane tak

zaKHm yaadon ke mahakte hain ki aai hai bahaar

hai ye daulat gham-e-dauran ki KHizan aane tak

be-niyazi hai taghaful hai ki be-zari hai

baat itni to samajh lete hain diwane tak

zindagi gham se ulajhti hi rahegi hamdam

waqt ki zulf girah-gir sulajh jaane tak

manzil-e-rah talab thi to kahin aur magar

ruk gae KHud hi qadam pahunche jo mai-KHane tak

(1176) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aql Pahunchi Jo Riwayat Ke Kashane Tak In English By Famous Poet Ehtisham Husain. Aql Pahunchi Jo Riwayat Ke Kashane Tak is written by Ehtisham Husain. Read famous Poem Aql Pahunchi Jo Riwayat Ke Kashane Tak for youth and Student by Ehtisham Husain. Free Download Aql Pahunchi Jo Riwayat Ke Kashane Tak in PDF.