Gulshan-e-dil Mein Mile Aql Ke Sahra Mein Mile

gulshan-e-dil mein mile aql ke sahra mein mile

jo bhi milna hai mile aur isi duniya mein mile

barhami anjuman-e-shauq ki kya puchhte ho

dost bichhDe hue akasr saf-e-ada mein mile

aane walon ne mere baad gawahi di hai

kai gulzar mere naqsh-e-kaf-e-pa mein mile

yun bhi guzri hai ki chhae rahe bedari par

nind aai to wo gham KHwab ki duniya mein mile

nahin malum ki kya dekhne aae the udhar

be-ajar log bahut shahr-e-tamasha mein mile

phir umidon ne yahin gaD diye hain KHeme

rang kuchh uDte hue daman-e-sahra mein mile

faslon se na mere shauq ki manzil napo

shash-jihat said mere dam-e-tamanna mein mile

(976) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulshan-e-dil Mein Mile Aql Ke Sahra Mein Mile In English By Famous Poet Ehtisham Husain. Gulshan-e-dil Mein Mile Aql Ke Sahra Mein Mile is written by Ehtisham Husain. Read famous Poem Gulshan-e-dil Mein Mile Aql Ke Sahra Mein Mile for youth and Student by Ehtisham Husain. Free Download Gulshan-e-dil Mein Mile Aql Ke Sahra Mein Mile in PDF.