Gham Mein Ek Mauj SarKHushi Ki Hai

gham mein ek mauj sarKHushi ki hai

ibtida si KHud aagahi ki hai

kise samjhaen kaun manega

jaise mar mar ke zindagi ki hai

bujhin shamen to dil jalae hain

yun andheron mein raushni ki hai

phir jo hun us ke dar pe nasiya sa

main ne ai dil teri KHushi ki hai

main kahan aur dayar-e-ishq kahan

gham-e-dauran ne rahbari ki hai

aur umDe hain aankh mein aansu

jab kabhi us ne dil-dahi ki hai

qaid hai aur qaid-e-be-zanjir

zulf ne kya fusun-gari ki hai

main shikar-e-itab hi to nahin

mehrban ho ke baat bhi ki hai

bazm mein us ki bar pane ko

dushmanon se bhi dosti ki hai

un ko nazren bacha ke dekha hai

KHub chhup chhup ke mai-kashi ki hai

har taqaza-e-lutf par us ne

taza rasm-e-sitamgari ki hai

(1220) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Mein Ek Mauj SarKHushi Ki Hai In English By Famous Poet Ehtisham Husain. Gham Mein Ek Mauj SarKHushi Ki Hai is written by Ehtisham Husain. Read famous Poem Gham Mein Ek Mauj SarKHushi Ki Hai for youth and Student by Ehtisham Husain. Free Download Gham Mein Ek Mauj SarKHushi Ki Hai in PDF.