Tujhe Pasand Jo Dil Ki Lagan Nahin Aai

tujhe pasand jo dil ki lagan nahin aai

mujhe bhi ras teri anjuman nahin aai

uDa sa rang hai kyun waqt ke mashihao

abhi to manzil-e-dar-o-rasan nahin aai

taDapta hi raha yaqub dar-e-ahd-e-kuhan

hawa-e-yusuf-e-gul-pairahan nahin aai

sitam-shiar to tha ghair bhi magar us ko

jafa-taraazi-e-ahl-e-watan nahin aai

jo dhup ban ke chamak jati dil ke aangan mein

teri nazar ki wo rangin kiran nahin aai

jo pesh-KHema bane inqalab ka ab tak

jabin-e-waqt pe aisi shikan nahin aai

(1365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Pasand Jo Dil Ki Lagan Nahin Aai In English By Famous Poet Ehtisham Husain. Tujhe Pasand Jo Dil Ki Lagan Nahin Aai is written by Ehtisham Husain. Read famous Poem Tujhe Pasand Jo Dil Ki Lagan Nahin Aai for youth and Student by Ehtisham Husain. Free Download Tujhe Pasand Jo Dil Ki Lagan Nahin Aai in PDF.