Un Aankhon Ko Nazar Kya Aa Gaya Hai

un aankhon ko nazar kya aa gaya hai

mizaj-e-arzu badla hua hai

na jaane haar hai ya jit kya hai

ghamon par muskurana aa gaya hai

meri haalat pe un ka muskurana

jawab-e-na-muradi aa gaya hai

nahin ek main hi nakaam-e-mohabbat

yahi pahle bhi aksar ho chuka hai

saba ki rau na ghunchon ka tabassum

chaman walo kaho kya ho gaya hai

shab-e-gham sahmi sahmi yaad un ki

andhere mein diya sa jal raha hai

nahin milta suragh-e-manzil-e-shauq

mohabbat se bhi ji ghabra gaya hai

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Aankhon Ko Nazar Kya Aa Gaya Hai In English By Famous Poet Ehtisham Husain. Un Aankhon Ko Nazar Kya Aa Gaya Hai is written by Ehtisham Husain. Read famous Poem Un Aankhon Ko Nazar Kya Aa Gaya Hai for youth and Student by Ehtisham Husain. Free Download Un Aankhon Ko Nazar Kya Aa Gaya Hai in PDF.