Husul-e-maqsad Mein AaKHirash Yun Rahegi Qismat DaKHil Kab Tak

husul-e-maqsad mein aaKHirash yun rahegi qismat daKHil kab tak

tum apni nakaamiyon pe doge muqaddaron ki dalil kab tak

samundaron ki riyasaton ko luTa ke aawara phirne walo

ab ek qatre ki minnaton se karoge KHud ko zalil kab tak

tu mard-e-momin hai apni manzil ko aasmanon pe dekh nadan

ki rah-e-zulmat mein sath dega koi charagh-e-alil kab tak

jalal-e-rafta ko bhul bhi ja zarurat-e-haal par nazar kar

rakhe ga chulhe ki aag ThanDi pae-waqar-e-qabil kab tak

daraazi-e-qad se aadmi ko nasib hoti nahin bulandi

tujhe fareb-e-faraaz degi ye kajkulah-e-tawil kab tak

(644) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husul-e-maqsad Mein AaKHirash Yun Rahegi Qismat DaKHil Kab Tak In English By Famous Poet Ehtisham Ul Haq Siddiqui. Husul-e-maqsad Mein AaKHirash Yun Rahegi Qismat DaKHil Kab Tak is written by Ehtisham Ul Haq Siddiqui. Read famous Poem Husul-e-maqsad Mein AaKHirash Yun Rahegi Qismat DaKHil Kab Tak for youth and Student by Ehtisham Ul Haq Siddiqui. Free Download Husul-e-maqsad Mein AaKHirash Yun Rahegi Qismat DaKHil Kab Tak in PDF.