Sadaqaton Ke Payambar Gae Rasul Gae

sadaqaton ke payambar gae rasul gae

KHudi ki hurmat-e-afzal gai usul gae

jo bul-hawas the sar-e-am dandanate rahe

jo haq-parast the sab phansiyon pe jhul gae

gila faqat hai ye zahid ki parsai se

zara sa waqt paDa un ke sab usul gae

KHizar se hum bhi mila kar qadam chale the magar

masafaton ki tawalat se sans phul gae

tumhaare jaane se har ek kali ka rang uDa

chaman se fasl-e-bahaaran gai to phul gae

rah-e-hayat mein lakhon the ham-safar 'ejaz'

kisi ko yaad rakha aur kisi ko bhul gae

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sadaqaton Ke Payambar Gae Rasul Gae In English By Famous Poet Ejaaz Ahamd Ejaaz. Sadaqaton Ke Payambar Gae Rasul Gae is written by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Read famous Poem Sadaqaton Ke Payambar Gae Rasul Gae for youth and Student by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Free Download Sadaqaton Ke Payambar Gae Rasul Gae in PDF.