Husn Ki Riten Ishq Ki RasMein ChhoTe Bachche Kya Jaanen

husn ki riten ishq ki rasmen chhoTe bachche kya jaanen

shoKH adaen mubham baaten chhoTe bachche kya jaanen

sair hue to hans lete hain bhuk lagi to rote hain

subh-e-bahaaran bhigi raaten chhoTe bachche kya jaanen

koh samundar sahra jangal KHub samajh lete hain lekin

kaisi zalim hain ye KHalaen chhoTe bachche kya jaanen

sachchai hai in ka mazhab apni KHata bhi kah lete hain

jhuT ghaban dhoke ki rahen chhoTe bachche kya jaanen

pariyon ke afsane sun kar shahzade ban baiTh gae

talKH haqaeq waqt ki shaklen chhoTe bachche kya jaanen

lori se 'ejaz' wo aksar apna ji bahlate hain

git ghazal qite aur nazmen chhoTe bachche kya jaanen

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Ki Riten Ishq Ki RasMein ChhoTe Bachche Kya Jaanen In English By Famous Poet Ejaaz Ahamd Ejaaz. Husn Ki Riten Ishq Ki RasMein ChhoTe Bachche Kya Jaanen is written by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Read famous Poem Husn Ki Riten Ishq Ki RasMein ChhoTe Bachche Kya Jaanen for youth and Student by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Free Download Husn Ki Riten Ishq Ki RasMein ChhoTe Bachche Kya Jaanen in PDF.